Kyun ladki ke sapne nahi hote...Kyun uske pankh apne nahi hote..
Kyun uska koi ghar nahi hota...Kyun apna ghar apna nahi hota....
Kyun bhej dete hai use parayi amanat maankar....
Aur apne ghar mein use paraya maante hai.....
Kya ya reet hai samaaj ki - Kya ye geet hai shay-maat ka
Kyun uske par kaatne ka riwaaj hai ye - kyun uski iss ladayi mein usi ki maat hai
Kyun adhikar use dene se darte hai hum...kya uske andar ki shakti se darte hai hum
Kyun uska har sangharsh bemaani mana jaata hai -
Kyun use rishton ki kashmakash mein - majhdaar mein chhodda jata hai
Kyun wo ek maa-baap ka sapna nahi hoti...Kyun uski unsuni awaaz ki sunwayi nahi hoti....
Kyun wo akeli be-bas samjhi jaati hai...Kyun uske uth-kar chalne pe tauhmat laga di jaati hai
Uske chalne, rukne ko tola-mola jaata hai...
Kyun uski sewa-shiddat ko dikhawa samjha jaata hai....
Gar chalti hai apni dhun mein -to Dhunki kehlati hai....
To kya hua gar wo apni marzi ki raah par chalna chahti hai....
Wo sabke sapno ka ghar bade pyar se sajati hai
To kya hua gar wo - ek sapna jeena chahti hai....
Kyun wo Guroor, wo Sapna aur Sapne se upar nahi hoti...
Kyun uski ek udaan, bardaasht nahi hoti....
Kyun uske adhoore-poore hone par shart samaaj lagata hai
Kyun aisa samjha jaata hai ki uske komal hriday ki awaaz nahi hoti....
Kyun uski dhahkan girvi hai, jeevan hai usme wo koi samaan nahi hoti...
Kya ladki iss samaaj mein - Ek Jaan nahi hoti!!
Kyun uske pankhon mein jaan bharne se sab darte hai....
Kya uski udaan mein - koi shaan nahi hoti...
Kyun uske jeewan ka adhaar sadev doosre se hota hai...
Waise to kehte hai ye dhara jo maa hai - bhi hoti hai ek ladki
Kyun use ladta dekhkar ye maanush bardaasht nahi kar pata hai....
Kyun use lalkaarte hue wo uske charitra pe ghaav lagata hai...
Ruko - dekho ye wahi purush hai jo duniya ke saamne Jai Ambe, Jai Mata ka dharm gyan sunata hai
Yaad rakho ek tum jaisa hi insaan hai ladki
Uski bhi ek pehchaan hai....Uske sapne hai....
Jin pankhon mein bhari us Ishwar ne udaan hai.....
usi Ishwar ka ek vardaan hai- ladki!
No comments:
Post a Comment