Tuesday, April 7, 2020

Maa Kehti Thi Pari Hun Mein :)


Maa kehti thi pari hun mein
Papa ki sar chadhi hun mein

Yaad atta hai padhayi ki tension le jaana
Papa ka ye kehna exam dene hi na jaana

Maa ka mere sapno ke liye lad jaana
Dadu ka tvs pe books dilane le jaana

Dadi ka door padhai ke naam pe muh ​fulana
Fir apne haath se parantha khilana

Nanihaal mein sabse badi hun mein... 
Poocho koi nani se...aaj bhi sar chadi hun mein...

Raub to hona hi tha...nani ki, mama ki...
Bhaiyon ki aur behno ki...sabki Ladli hun mein....

Bua ka debates ki tayyari karana
Tau ka aate jaate per chuu ke jai mata ki keh jaana

Bhaiyon ka aage peeche cycle pakad ke sikhana
Behno ke saath mein khilkhilana

Wo kehte the bel hai wo mein ped ka tana..
Chota sa bhai​ jab​ mer​i​ doli vidaa karne chala..

Dhoondna pada tha usko...
Thaka so gaya tha pandaal mein...

Khush rehna harhaal mein...kehke kar diya vida
Ab jeevan hai sasural mein...aur kar diya alvida...

Aaj neend nahi aayi ...
Aur ghar yaad aa gaya....

Covid19 ka isolation...
Kavita kehla gaya....

Jeevan badalta rehta hai....
Dadu ne kahani sunayi thi....

Jaise jaane se pehle ... tayyari karayi thi..
Bole Shrestha jeevan uss daasi ka hota hai...

Jiska din-raat kewal uska farz hota hai...
Weh karm kar so jaati hai aur utth kaam par lag jaati hai.... 

Use na koi moh aur na koi dwesh hota hai...
Baat keh kar wo akasmat hi chale gaye...

Mano shiksha dekar jeevan ka falsafa de gaye...
Aaj bhi jab bhai-behen milkar sab baat karte hai...

Jeevan ki thakaan ka sanhaar karte hai..
Wo bachpan ke baaton ka pitara khol dete hai ....

Kuch pal ki thitholi mein jee bhar ke Hans lete hai...
Aur fir se nayi dincharya ka aarambh hota hai....

Kya aap ke bhi jeevan mein aisa sab hota hai....
Jo bhi ho jeevan mein bachpan bejod hota hai...

Sab chooth jata hai beech mein kahin....
Par ghar bhar ka pyar bejod hota hai...

Ab yaad aati hai bahut...
jab do pal ka chain hota hai...

harpal ye ehsaas hota hai....
Kyun maa kehti thi pari hun mein....

No comments: