Mein Jigyasa
Mein jigyasa
Sochu apni paribhasha
Kuch sehmi, kabhie nidarr
Kabhi nathkhat, kabhie niraash
Pairon mein zanzeerien par sapna mera chand ke paar,
Aaj khush hun….to jee jaungi..
Kal dukhi to….toot jaungi..
Chahun na koi sahara…samjhu khud ko besahara
Koi shaq nahi khud par…Shaq karti hun mein kismat par…
Udne ko parr failayun….aur hawa ke rukh ko badla paun…
Aasan manzil ho jati hai mushkil….
Jaane jeekar kya ho haasil..
Khushi se jeene ki har koshish…
Upri haansi aur andar kashish…
Chahun sabko hasta paun….
Kayi baar chahe apni khushi gawaun….
Rakhna sabko khush na paun….
Is dukh se phir bikhar mein jaun…
Kuch na kehkar mein gussa dikhaun….
Gar keh bhi du to khud ko akela mein paun..
Seham kar zindagi se; chup ho jaun…
Aur phir jeene ki alakh jagaun…
Mein jigyasa
Sochu apni paribhasha…
Khud mein khud ko dhoondti hun…
Mein murjhayein phoolon ko bhi umeed se soongti hun..
Hansti hun choti si baat par…
Kisi aur ka dukh dekhkar ro deti hun…
Kehti phirun mein sabse….khud jee sakti hun
Sab hote hai sang mere….
Lekin, akele mein khud ko mein tanha paun
Aur is tanhayi ke liye kuch kar na paun..
Thak kar apni in baton se….
Mein phir se khud ko samjhaun…
Khush rehne ki alakh jagaun
Aaankhein moond apni khushiyon ki
Muskaan liye sapno ki duniya mein kho jaun
Mein Jigyasa
Sochu apni paribhasha.......:-)